lab-e-sukut pe ek harf-e-be-nawa bhi nahin wo raat hai ki kisi ko sar-e-dua bhi nahin khamosh rahiye to kya kya sadaen aati hain pukariye to koi mud ke dekhta bhi nahin jo dekhiye to jilau mein hain mehr-o-mah-o-nujum jo sochiye to safar ki ye ibtida bhi nahin qadam hazar jihat-ashna sahi lekin guzar gaya hun jidhar se wo rasta bhi nahin kisi ke tum ho kisi ka khuda hai duniya mein mere nasib mein tum bhi nahin khuda bhi nahin ye kaisa khwab hai pichhle pahar ke sannato bikhar gaya hai aur aankhon se chhutta bhi nahin is izhdiham mein kya nam kya nishan 'akhtar' mila wo hans ke magar mujh se aashna bhi nahin