husn har naunihaal rakhta hai koi tujh sa jamal rakhta hai mujh se ho tere jaur ka shikwa ye bhala ehtimal rakhta hai tujh se kuchh apna arz-e-haal kare dil kab itni majal rakhta hai mah kya hai ki jis se dun tashbih husn tu be-zawal rakhta hai jite-ji us se aashiq-e-mahjur kab umid-e-visal rakhta hai tu kahan aur us ka wasl kahan ye khayal-e-muhaal rakhta hai ji mein 'bedar' tere milne ka aah kya kya khayal rakhta hai