hum thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain wo zamin ghumti hai panw jahan rakhte hain dekhte sab hain magar band zaban rakhte hain is tarah shahr mein hum amn-o-aman rakhte hain dil larazta hai to darte hain kahin tut na jae shakh par ek hi to barg-e-khizan rakhte hain dhund leta hai har ek shakhs hamein hum shayad apne hone ka kahin koi nishan rakhte hain kyun nahin khana-ba-doshon ki tarah ji lete rehn rakhne ke liye hum bhi makan rakhte hain bhul ja padh ke puranon ki purani baaten ab wo sarmaya nae log kahan rakhte hain ishq ki ibtida aur intiha hum se puchho phul ko chum ke kanton pe zaban rakhte hain