wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya hue hain apne hi dil se magar hum bad-guman kya kya par-e-parwaz nila aasman manzil sitaron ki kate shahpar to yaad aane lagin jaulaniyan kya kya ye apna dil jo ab aaseb-e-khamoshi ka maskan hai kabhi guzre the is suni dagar se karwan kya kya sukut-e-nim-shab ki aahaten aur raat ka jadu ye manzar sath le aaya teri dildariyan kya kya jahan ahl-e-nazar ahl-e-hunar ki hukmarani thi wahan minqar-e-zer-e-par hain baithe nukta-dan kya kya ab apne ghar ka bhi ahwal lab par la nahin sakte kiya karte the hum ahwal-e-alam ka bayan kya kya ajab tira-shabi se ab rah-o-rasm-e-junun thahri hue nisyan ke parde mein mah-o-anjum nihan kya kya