lutf ye hai jise aashob-e-jahan kahta hun usi zalim ko farogh-e-dil-o-jaan kahta hun ghair ka zikr hi kya muft mein ilzam na do dil ki har baat main tum se bhi kahan kahta hun kisi majbur ke honton pe jo aa jata hai us tabassum ko main eajaz-e-fughan kahta hun na main zindani-e-sahra na asir-e-gulshan koi bandish ho use ji ka ziyan kahta hun dil shikasta sahi mayus nahin hun ai dost main ki har daur ko daur-e-guzaran kahta hun husn ka shewa-e-paiman-shikani achchha hai phir bhi har sans ko chashm-e-nigaran kahta hun koi had hai meri aashufta-sari ki 'taban' un ki zulfon ko charaghon ka dhuan kahta hun