hum to duniya se bad-guman thahre aage dil ki khushi jahan thahre hae wo qafile jo lut kar bhi zer-e-diwar-e-gulsitan thahre aap ko karwan se kya matlab aap to mir-e-karwan thahre zindagi chahti hai hangama aur hum log be-zaban thahre kabhi teri talash mein nikle kabhi ban kar tera nishan thahre gardish-e-dahr sath sath rahi hum jidhar bhi gae jahan thahre har qadam par tha ek sanam-khana kya bataen kahan kahan thahre kuchh to kaj-rau jahan bhi hai 'baqi' aur kuchh hum bhi qissa-khwan thahre