kare ‘arz-e-tamanna khak koi us sitamgar se zaban katti hai ab to baat par khanjar nikalte hain siwa hai fitna-e-mahshar se bhi tul-e-'amal un ka tere gesu tere qamat se bhi gaz-bhar nikalte hain qafas mein bhi to mujh par ye sitam sayyaad dhata hai katar deta hai das ginti ke jab do par nikalte hain bandha rahta hai shiraaza jo mutthi band rahti hai bharam khote hain jab jame se gul bahar nikalte hain chalo phir 'barq' maikhane chalen phir tod len tauba abhi to apne hi kuchh dam saqi par nikalte hain