hum un ke gham mein tadap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain hamare dil mein hai yaad un ki jo hum ko dil se bhula chuke hain bala-e-mahshar bhi sahal un ko azab-e-dozakh bhi un ko aasan jo teri ulfat mein apne dil par gham-e-judai utha chuke hain adu se ja kar karo ye baaten wahin guzaro tum apni raaten tumhaari baaton mein aa chuke hum tumhein bahut aazma chuke hain agar na aaen nazar na aaen nahin hai kuchh bhi khayal is ka kahan wo jaenge munh chhupa kar hamare dil mein jab aa chuke hain ye kya qayamat hai ya ilahi ki un ki aamad ka haal sun kar shakeb-o-sabr-o-qarar hosh-o-hawas pahle hi ja chuke hain khayal kuchh bhi nahin hai tujh ko but-e-pariwash hamara hum to teri mohabbat mein naqd-e-jaan-o-dil-o-jigar bhi luta chuke hain buton ko dena na bhul kar dil na un pe hona zara bhi mail nahin hai juz ranj un se hasil tujhe ye 'nadir' jata chuke hain