phenkte sang-e-sada dariya-e-virani mein hum phir ubharte daera-dar-daera pani mein hum ek zara yunhi basar kar len giran-jaani mein hum phir tumhein sham-o-sahar rakkhenge hairani mein hum ek hawa aakhir uda hi le gai gard-e-wajud sochiye kya khak the us ki nigahbani mein hum wo to kahiye dil ki kaifiyyat hi aaina na thi warna kya kya dekhte is ghar ki virani mein hum mahw-e-hairat the ki be-mausam nadi payab thi bas khade dekha kiye utre nahin pani mein hum us se milna aur bichhadna der tak phir sochna kitni dushwari ke sath aae the aasani mein hum