hum us ko bhul baithe hain andhere hum pe tari hain magar us ke karam ke silsile duniya pe jari hain karen ye sair karon mein ki ud len ye jahazon mein farishta maut ka kahta hai ye meri sawari hain na un ke qaul hi sachche na un ke tol hi sachche ye kaise desh ke tajir hain kaise byopari hain hamari muflisi aawargi pe tum ko hairat kyun hamare pas jo kuchh hai wo saughaten tumhaari hain nasab ke khun ke rishte hon ya pine pilane ke kalai par bandhe dhage ke rishte sab pe bhaari hain ye apni bebasi hai ya ki apni be-hisi yaro hai apna hath un ke samne jo khud bhikari hain hamein bhi dekh le duniya ki raunaq dekhne wale teri aankhon mein jo aankhen hain wo aankhen hamari hain aziz-e-na-tawan ke samne kohsar-e-gham halka magar ehsan ke tinke azal se un pe bhaari hain