kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh rishta khushi se jod gham-e-mo'tabar mein rakh shahron mein zindagi ka safar ab muhaal hai behtar to ye hai sahra pe apni nazar bhi rakh duniya ke hadsat se bhi rakh tu wasta haalat ghar ke kaise hain is ki khabar bhi rakh talwar hi se fath to milti nahin kabhi nadan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur daman ko apne ashk-e-nadamat se tar bhi rakh gar zindagi mein chahta hai sar-bulandiyan pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayat is aarzu mein khud ko to mahw-e-safar bhi rakh is dilkashi mein chand ki khud ko na bhul ja apni nazar mein jalwa-e-shaqqul-qamar bhi rakh shahon ke dar pe jaane se main rokta nahin lekin tu khanqahon mein apna guzar bhi rakh danon ke waste tu zamin par bhi aa 'aziz' har-chand aasmanon pe tu apna ghar bhi rakh