jaane kya kahte hue sarw saman guzre hain

jaane kya kahte hue sarw saman guzre hain
kaise haalat se gul zer-e-chaman guzre hain

ab batao ki mulaqat bhali ya furqat
tum pe ye hijr ke lamhe jo kathin guzre hain

chandni raat mein do sae ba-sad-husn-e-khiram
in darakhton ke tale mahw-e-sukhan guzre hain

us pe ye nur hai dekhoge to hairat hogi
chand par aaj talak jitne gahan guzre hain

jazba-e-shauq hai bharpur hai aur sachcha hai
sare sahraon se diwane magan guzre hain

daulat-e-dard faqat us ki inayat hi nahin
aur jaanib se bhi kuchh ranj-o-mehan guzre hain

bad-guman lafz the mashkuk sadaen thin 'nasim'
is samaat pe kuchh aise bhi sukhan guzre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close