karobar-e-zindagi se jis ka dil ghabraega

karobar-e-zindagi se jis ka dil ghabraega
yar ki zulf-e-rasa ke sae mein aa jaega

tazkira rukhsar ka ya zikr-e-zulf-e-yar ho
kaif aankhon mein yaqinan kuchh na kuchh chha jaega

jo manazir aaj tak tum ne kabhi dekhe nahin
koi tum ko wo manazir ek din dikhlaega

ab karam-farmaiyan hon ya itab-e-naz ho
aap ke dast-e-karam se dil sila kuchh paega

waqt ki uljhi hui zulfen sanwaren kis tarah
ahl-e-dil ko ye saliqa khud-bakhud aa jaega

aap pahle hans ke gham khate rahe 'sabir' magar
ab yahi gham rafta rafta aap ko kha jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close