phaile hue hain sae dar-o-baam par abhi ubhri nahin hai azmat-e-nur-e-sahar abhi kyon jazba-e-talab ko nahin shauq-e-justuju jalte to hain charagh sar-e-rahguzar abhi khud hi jo badh ke tham len daman hayat ka itne kahan hain ahl-e-junun mo'atabar abhi ai rahrawan-e-rah-e-tamanna badhe chalo pahunche nahin ho manzil-e-maqsud par abhi kitne bujhe bujhe se hain shoale hayat ke kitne udas udas hain sham-o-sahar abhi kitna badal gaya hai shuur-e-mazaq-e-gham kitne fareb dete hain ahl-e-nazar abhi hai kaenat-e-azmat-e-shaddad jalwa-gar insaniyat sisakti hai har gam par abhi hain daman-e-khizan mein bahaaron ki azmaten na-ashna sukun se hain ahl-e-hunar abhi 'khurshid' jis se zulmat-e-shab faizyab ho aankhon se dur hai wo ziya-e-sahar abhi