hum ne dekha hai bhare shahr mein saya apna ek suraj hai pas-e-pusht paraya apna gham-kada ashk-e-musalsal se nihaal-e-shab hai zakhm-e-taza ko dar-e-yar banaya apna chand se par koi raat basera dale hum se puchhe hai koi khun bahaya apna ab to har shakl yahan zeb-e-numaish thahri hum ne tamsil-nagar aisa basaya apna dukhtar-e-mashriq-o-maghrib ko bhi dekho 'kausar' ruh ko aam kiya kuchh na chhupaya apna