hum ne dil se tujhe sada mana tu bada tha tujhe bada mana 'mir'-o-'ghaalib' ke baad 'anis' ke baad tujh ko mana bada baja mana tu ki diwana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab khuda mana tujh ko parwa na thi zamane ki tu ne dil hi ka har kaha mana tujh ko khud pe tha e'timad itna khud hi ko to na rahnuma mana ki na shab ki kabhi pazirai subh ko laeq-e-sana mana hans diya sath-e-zehn-e-alam par jab kisi baat ka bura mana yun to shair the aur bhi ai 'josh' hum ne tujh sa na dusra mana