jo mujhe marghub ho wo sogwari chahiye mere soyam mein tumhein poshak bhaari chahiye taza ho bagh-e-tamanna aabiyari chahiye aaj to ai chashm-e-tar kuchh ashk-bari chahiye jab bahaar aae to kab parhez-gari chahiye sal-bhar mein chaar din to baada-khwari chahiye dil jigar se jab main kahta hun nahin aaega yar kahte hain kuchh der to aur intizari chahiye hon hawas-o-hosh agar baqi to kya lutf-e-junun dil na qabu mein ho wo be-akhtyari chahiye ras aae tum ko mulk-e-ishq ki aab-o-hawa aashiqo har-waqt shaghl-e-ah-o-zari chahiye wasl ki shab hai wo pahlu mein hain to sone na de han mere dil ab ziyaada be-qarari chahiye maut bekar aati hai marna hamara hai muhaal aap ki talwar ka ek zakhm kari chahiye rote rote mar gae hain jo firaq-e-yar mein un ko bahr-e-ghusl mayyat aab-e-jari chahiye sikhi un se dilrubai aa gai fasl-e-shabab aaj-kal dil ki taraf se hoshiyari chahiye sar na utthe teri chaukhat se na kuche se qadam tauq bhaari chahiye zanjir bhaari chahiye ho ziyaada raushni aur der tak baqi rahe meri sham-e-ruh ko mahfil tumhaari chahiye aap ke lao-niam ne turfa dikhlaya tilism na-umidi kahti hai ummid-wari chahiye tere chehre ke muqabil ho agar to is tarah aaftab-e-hashr ko aaina-dari chahiye ye tumhaari ja nahin aankhon ke wa se hain ye dar dil mein dun tum ko jagah ye parda-dari chahiye bakhsh deta hai 'rashid' allah itni baat par kar ke isyan aadmi ko sharmsari chahiye