tere khayal, tere khwab, tere nam ke sath bani hai khak meri kitne ehtimam ke sath bahut se phul the aur sare achchhe rangon ke saba ne bheje the jo kal tere payam ke sath nazar thaharti na thi us pe aur khud par bhi main aaine mein thi kal ek lala-fam ke sath tere khayal se raushan hai sar-zamin-e-sukhan ki jaise zinat-e-shab ho mah-e-tamam ke sath phir aa gai hai mere dar pe kya wahi duniya? main kar ke aai thi rukhsat jise salam ke sath suna hai phul jhade the jahan tere lab se wahan bahaar utarti hai roz sham ke sath khushi ke waste kab koi din muqarrar tha magar ye dil mein ruki hai tere khiram ke sath