hum ne jaana tha sukhan honge zaban par kitne par qalam hath jo aai likhe daftar kitne main ne is us sannaa se sar khincha hai ki har ek kuche mein jis ke the hunar-war kitne kishwar-e-ishq ko aabaad na dekha hum ne har gali-kuche mein ujad pade the ghar kitne aah nikli hai ye kis ki hawas sair-e-bahaar aate hain bagh mein aawara hue par kitne dekhiyo panja-e-mizhgan ki tak aatish-dasti har sahar khak mein milte hain dar-e-tar kitne kab talak ye dil sad-para nazar mein rakhiye us par aankhen hi siye rahte hain dilbar kitne umr guzri ki nahin do aadam se koi jis taraf dekhiye arse mein hain ab khar kitne tu hai bechaara gada 'mir' tera kiya mazkur mil gae khak mein yan sahab afsar kitne