mat mardumak-e-dida mein samjho ye nigahen hain jama suwaida-e-dil-e-chashm mein aahen kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgan-e-khud-ara aaine ke payab se utri hain sipahen dair-o-haram aaina-e-takrar-e-tamanna wamandagi-e-shauq tarashe hai panahen jun mardumak-e-chashm se hon jama nigahen khwabida ba-hairat-kada-e-dagh hain aahen phir halqa-e-kakul mein padin did ki rahen jun dud faraham huin rauzan mein nigahen paya sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-wahshat hain dagh se mamur shaqaiq ki kulahen ye matla 'asad' jauhar-e-afsun-e-sukhan ho gar arz-e-tapak-e-jigar-e-sokhta chahen hairat-kash-e-yak-jalwa-e-mani hain nigahen khinchun hun suwaida-e-dil-e-chashm se aahen