kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai kab ye un tak khabar-e-amad-e-gul lati hai dukhtar-e-raz ki hun sohbat ka mubashir kyunkar abhi kam-sin hai bahut mard se sharmati hai kyunki farba na nazar aawe teri zulf ki lat jonk si ye to mera khun hi pi jati hai jism ne ruh-e-rawan se ye kaha turbat mein ab mujhe chhod ke tanha tu kahan jati hai kya magar us ne suna shuhra-e-husn us gul ka aankhen kohhaal se nargis bhi jo banwati hai lakh hum sher kahen lakh ibarat likkhen baat wo hai jo tere dil mein jagah pati hai howe kis tarah dilerana wo aashiq se do-chaar apne bhi aks se jo aankh ki sharmati hai 'mushafi' ko nahin kuchh wasf-e-izafi se to kaam sher kahna zi-bas us ka sifat-e-zati hai