hum ne khak-e-dar-e-mahbub jo chehre pe mali qissa-e-dard chhida baat se phir baat chali kis tarah samjhun mera ishq hai sargarm-e-safar rah bedar hui hai na kahin shama jali dil ko bahlaen ki qadmon ko sambhaalen hum log jab nae mod pe pahunche hain to ye sham dhali ye mere naqsh-e-qadam waqt se mit sakte hain apne sine se lagae hai jinhen teri gali hum ne har tar-e-gareban ko banaya daman teri yaadon ko liye baad-e-bahaari jo chali mujh ko is barq se bas itna hi shikwa hai 'saba' aashiyan jal gaya kyun shakh-e-nasheman na jali