hum ne likhi hai lahu se dastan to kya hua is pe hairan gar nahin kaun-o-makan to kya hua sath baba ke khilaune lene ghar se tha chala koi eazaz-e-yatimi jo de wan to kya hua log kahte the ki aise gham mein ye bhi rote hain jo nahin roe zamin-o-asman to kya hua mere baba meri amman meri aapi ke siwa hai mila insaf bhi mujh ko yahan to kya hua chashm-e-girya ashkon ka sailab to ab tham chuka baad phir hain lekin ab dariya rawan to kya hua ek zamana tha ki bol uthte the aksar be-zaban bolne qabil nahin ahl-e-zaban to kya hua meri duniya mein lagi jo aag to sab jal gaya rakh se hasrat hai utthe bhi dhuan to kya hua