husn ka hai kaisa ye bazar tere shahr mein jis ne dekha ho gaya bimar tere shahr mein aa gae hain hum bhi ai sarkar tere shahr mein dil mein le ke hasrat-e-didar tere shahr mein tum pe hi mauquf hai zauq-e-tajalli is liye arsh se hain farsh tak anwar tere shahr mein jab wafa ka zikr apnon ne kiya to dafatan hum ko yaad aane lage aghyar tere shahr mein kam-nigahi ka zamane ki bhala shikwa hi kya hum se to apne bhi hain bezar tere shahr mein sham hi se hai meri nazron mein ai 'khalid' ayan subh ka wo hashr haal-e-zar tere shahr mein