hum ne mana hamein barbaad karegi duniya kar ke barbaad magar yaad karegi duniya jab use zulm-o-sitam hi mein maza aata hai kisi nashad ko kya shad karegi duniya dekhna ye hai ki hum ahl-e-junun par kab tak nit nae tarz ki bedad karegi duniya aaj tu apni karamat pe itraati hai kal magar aap hi fariyaad karegi duniya dushmani hai use arbab-e-wafa se lekin ye na honge to inhen yaad karegi duniya nahin malum yunhi khud ko kahan tak 'mansha' qaid-e-akhlaq se aazad karegi duniya