kabhi ye zindagi achchhi-bhali bhi guzri thi hamare honton se yani hansi bhi guzri thi abhi sukut hai sehra hai dhul udti hai inhin do aankhon se pahle nadi bhi guzri thi tamam lafzon ki sargoshiyan sunin shab bhar sadaen deti hui shairi bhi guzri thi har ek rah mein har lahza dhundhta hun main yahan se ishq ki sankri gali bhi guzri thi mujhe hi baat nahin karni thi koi warna mere qarib se kal zindagi bhi guzri thi jahan pe zindagi baithi hai panw phaila kar usi gali se kabhi khud-kushi bhi guzri thi abhi to sirf guzarti hai mujh pe tanhai kabhi mujhi se tumhaari kami bhi guzri thi