naqd-e-dil-o-jaan us ki khatir rahn-e-jam karo 'mir' ke baada-e-gham-khurda ko mai-khwaron mein aam karo qashqa khincho dair mein baitho pairwi-e-asnam karo kesh-e-barahman ko apnao jurm-e-wafa ko aam karo khwah koi bohtan tarasho ya aaed ilzam karo tark-e-talluq se pahle kuchh aur hamein bad-nam karo saz-e-shikast-e-dil ki qimat kaun chukane aaega giton ki dukan badhao naghmon ko nilam karo ek khayal-e-kham hai mana is ki tamanna is ka shauq umr-e-khizr mayassar ho to sirf khayal-e-kham karo nagri nagri phire musafir basti basti chhani khak tuk us zulf ke sae mein bhi koi ghadi aaram karo jin ke dam se ghurbat mein bhi bazm-e-tamanna raushan hai pyar un sari mah-washon ko 'ishqi' nam-ba-nam karo