hum ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah raat ka zahar piye khwab ka aanchal odhe kaun hai sath mere gardish-e-dauran ki tarah dhundhta phirta hun ab tak bhi hain sahra sahra usi lamhe ko jo tha fasl-e-bahaaran ki tarah maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah aaj wo lamhe mujhe daste hain tanha pa kar kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah jaane kya baat hai kyun jashn-e-masarrat mein nadim yaad aati hai teri sham-e-ghariban ki tarah kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaro aasmanon pe udo takht-e-sulaiman ki tarah ye to parwanon ke dil hain jo pighal jate hain kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah kaun khwabon ke jazire se chala aaya 'khayal' dil mein ek raushni hai subh-e-darakhshan ki tarah