zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha koson dur se babul ka raushan minar chamakta tha ghaar ki rangin taswiron ko aur zamane dekhenge hum ne bas wo naqsh kiya jo us lamhe ban sakta tha ek shaffaf dariche mein kuchh rang birange manzar the gul-danon mein phul farozan aatish-dan bhadakta tha main jis masnad par tha wo to ek goshe mein rakkhi thi aur daricha chupke se manzar ki samt sarakta tha barish chhappar tez hawaen misri jaise sindhi git yar sarae ke chulhe par mitha qahwa pakta tha jangal ganw parinde insan qisse mein sab lakhon the sayyare ka suraj lekin tanhai mein yakta tha