hun gham-ashna aashna-e-mohabbat do-alam mein yun jagmagae mohabbat azal se hui ibtida-e-mohabbat abad tak rahegi baqa-e-mohabbat mohabbat ke naghme hain un ke labon par bahut hi hasin hai faza-e-mohabbat dil-e-muztarib par girai thi bijli qayamat thi wo ek ada-e-mohabbat azal se abad tak chala ja raha hai julus-e-shahidan khuda-e-mohabbat na furqat ka yara na qurbat gawara na jaane hai kya muddaa-e-mohabbat mera din-o-iman mohabbat mohabbat banae mohabbat mitae mohabbat tamasha bane hain wahi 'dard' aksar bane hain jo khud rahnuma-e-mohabbat