josh-e-wahshat mere talwon ko ye iza bhi sahi hain jahan sau aable kuchh khar-e-sahra bhi sahi dil mein sau baaten hain ek teri tamanna bhi sahi sar pe hain lakh aafaten ek dagh-e-sauda bhi sahi munh pe aanchal lijiye mujh se jo aata hai hijab gar yahi manzur hai thoda sa parda bhi sahi dil mein waqt-e-zabh hai hasrat ki tum ko dekh len marte marte khair jine ki tamanna bhi sahi hum adam se yan na aate the to samjhata tha dil ek nazar gulzar-e-hasti ka tamasha bhi sahi mera haal-e-sakht-jaani sun ke farmane lage tegh ke sath ek abru ka ishaara bhi sahi garm aahen kar chuka ab khinchta hun sard aah lijiye thandi hawa ka ek jhonka bhi sahi kyun bigadiye husn-o-rifat mein kise inkar hai aap yusuf bhi sahi rashk-e-masiha bhi sahi apne dil ko gar pasand aae to jaanen khub hai hum ne mana yar tum se koi achchha bhi sahi tira-bakhton ke mazaron par na hogi raushni aazma dekho charagh-e-dast-e-musa bhi sahi chaarasazon ki khushi hai zakhm par hon ya na hon marham-e-zangar ka ek-adh phaha bhi sahi tere sar se panw tak barson mein jati hai nazar har jagah par kahti hai yan ka tamasha bhi sahi dil jigar mein kuchh nahin sine mein hain par aas hai bazm ki zinat ko khali jam-o-mina bhi sahi ye to zahir ho gaya tum martabe mein ho buland ab masiha se masihai ka dawa bhi sahi us ke dar par ja ke kuchh hasil na hoga ai 'rashid' koi bola bhi sahi tum ne pukara bhi sahi