humne to yahi marka mara hai safar mein

hum ne to yahi marka mara hai safar mein
manzil ki tarah baith gae rahguzar mein
wo sham-e-shab-anjam ki surat to nahin tha
ek pal mein shab-e-nisf utar aai hai ghar mein
ai nala-e-dil-doz tadap utthi khamoshi
hai marg-e-tamasha kisi aabaad nagar mein
hum khak ke tude pe khade puchh rahe hain
kya lutf mila tum ko samundar ke safar mein
hum saya-e-diwar-e-shikasta mein pade the
dhundoge to paoge hamein saya-e-dar mein
ye marhala-e-qat-e-talluq to kathin tha
ek dard ka dariya bhi hai ab dida-e-tar mein
ek umr ke rishton ko fana pal mein mili hai
hum dhundne kya nikle hain sadiyon ke safar mein
tarik-o-khunuk khak ka paiwand hue hain
hum tol ke lae the jinhen lal-o-gohar mein
yun teri tarah dur ki manzil ke musafir
sab kuchh to nahin chhod ke jate kabhi ghar mein
This is a great best tadap shayari. True lovers of lal mirch shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this gadar shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close