zamin tang hai yarab ki aasman hai tang ye kya ki bandon pe paiham tera jahan hai tang mere sawal ka koi jawab kya deta ki tere shahr mein har shakhs ki zaban hai tang karun to kaise karun harf-e-muddaa aaghaz ghazal ke waste lafzon ka aasman hai tang faza mein udte parinde ki khair ho yarab ki us ka tir bada hai magar kaman hai tang nizam nau mein nae tajrabaat kaise karen dil-o-dimagh ki har shakhs ke udan hai tang mere khuda use aazad kar ye achchha hai hisar-e-jism mein har waqt meri jaan hai tang agarche khud wo bahut tang-zehan-o-dil hai magar amir-e-shahr ko duniya ka har makan hai tang parinde chikh rahe hain ye kis ki hijrat par ye kis ke waste yarab tera jahan hai tang sukun-nawaz hain tuti haweliyan lekin ye aur baat ki shishe ka bhi makan hai tang kise sunaun main apni shikast ka qissa wo lafz aur wo lahja wo dastan hai tang