hum se jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya apne ushshaq ko wo ghuncha-dahan bhul gaya qais ka jalwa-e-laila jo hua hosh-ruba wo sarasima hua najd ka ban bhul gaya kya karishma ye teri chashm-e-sukhan-go ne kiya kis ki jaanib tha mera ru-e-sukhan bhul gaya khar khar-e-gham-e-ulfat ne kiya rah ghalat tera madhosh-e-nazar rah-e-chaman bhul gaya nigah-e-shauq ne diwana banaya mujh ko kuchh khabar apni nahin hai hama-tan bhul gaya ho gaya hosh-ruba husn-e-fareb-e-alam nal jo bazi mein laga ishq-e-daman bhul gaya shauq-o-ram tere jo dekhe hain ghazal-e-rana chaukdi apni bayaban mein hiran bhul gaya sair-e-gulzar mein hai mahw-e-tamasha wo gul bulbul-e-shefta ko ghuncha-dahan bhul gaya sabza-e-khat ne tere rah mein ghera mujh ko gharq main ho na saka chah-e-zaqan bhul gaya mahw hota hi nahin is ka kabhi dil se khayal yaad karta hi nahin mushfiq-e-man bhul gaya shahid-e-mast ne sarmast kiya hai 'saqi' hum wo madhosh hue rang-e-sukhan bhul gaya