hum se kuchh aage zamane mein hua kya kya kuchh to bhi hum ghafilon ne aa ke kya kya kuchh dil jigar jaan ye bhasmant hue sine mein ghar ko aatish di mohabbat ne jala kya kya kuchh kya kahun tujh se ki kya dekha hai tujh mein main ne ishwa-o-ghamza-o-andaz-o-ada kya kya kuchh dil gaya hosh gaya sabr gaya ji bhi gaya shaghl mein gham ke tere hum se gaya kya kya kuchh aah mat puchh sitamgar ki tujh se thi hamein chashm-e-lutf-o-karam-o-mahr-o-wafa kya kya kuchh nam hain khasta-o-awara-o-bad-nam mere ek aalam ne gharaz mujh ko kaha kya kya kuchh tarfa-e-sohbat hai ki sunta nahin tu ek meri waste tere suna main ne suna kya kya kuchh hasrat-e-wasl-o-gham-e-hijr-o-khayal-e-rukh-e-dost mar gaya main pe mere ji mein raha kya kya kuchh dard-e-dil zakhm-e-jigar kulfat-e-gham dagh-e-firaq aah aalam se mere sath chala kya kya kuchh chashm-e-namnak-o-dil par jigar sad-para daulat-e-ishq se hum pas bhi tha kya kya kuchh tujh ko kya banne bigadne se zamane ke ki yan khak kin kin ki hui sirf bana kya kya kuchh qibla-o-kaba khuda-wand-o-malaz-o-mushfiq muztarib ho ke use main ne likha kya kya kuchh par kahun kya raqam shauq ki apne tasir har sar-e-harf pe wo kahne laga kya kya kuchh ek mahrum chale 'mir' hamein aalam se warna aalam ko zamane ne diya kya kya kuchh