mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt main gaya waqt nahin hun ki phir aa bhi na sakun being kind at any time you please, you can call out for me for i am not like time once past, again can never be zoaf mein tana-e-aghyar ka shikwa kya hai baat kuchh sar to nahin hai ki utha bhi na sakun of rival's taunts, in weakened state, why should complaints unfold 'tis merely talk and not my head which i cannot uphold zahr milta hi nahin mujh ko sitamgar warna kya qasam hai tere milne ki ki kha bhi na sakun o tyrant, poison is not found, else for my sorrow's sake is it a vow to never meet you that i cannot take? is qadar zabt kahan hai kabhi aa bhi na sakun sitam itna to na kije ki utha bhi na sakun lag gai aag agar ghar ko to andesha kya shoala-e-dil to nahin hai ki bujha bhi na sakun tum na aaoge to marne ki hain sau tadbiren maut kuchh tum to nahin ho ki bula bhi na sakun hans ke bulwaiye mit jaega sab dil ka gila kya tasawwur hai tumhaara ki mita bhi na sakun