kabhi to baithun hun ja aur kabhi uth aata hun manun hun aap hi phir aaphi ruth jata hun moamla to zara dekhiyo tu chahat ka mujhe satawe hai wo us ko main satata hun ruka hua wo mujhe dekh kar jo bole hai to bolta nahin main us se sar hilata hun par itne mein jo main sochun hun ye na ruk jawe zaban pe apni bhi ik-adh harf lata hun kahe hai dil ye ki aise se dosti hai abas buraiyon ka jo us ki khayal lata hun ye kah ke baith rahun hun jo apne ghar mein zara to dil kahe hai ye ghabra ke main to jata hun jab apna haal ye dekhun hun main to hona chaar jhapat ke pichhe se dil ke qadam uthata hun bata tu 'mushafi' kya tujh ko ho gaya kam-bakht kuchh in dinon tera chehra taghir pata hun