zamane thik hai in se bahut hue raushan magar charagh kahan khud ko kar sake raushan sabhi ke zehn mein us ka khayal rahta hai us ek nur se hai kitne aaine raushan abhi to hum ko kai roz jagmagana hai hamin hai dasht mein ek aakhiri diye raushan mahak usi ki meri rahnumai karti hai usi ki chap se hote hain raste raushan hum ek umr se tarikiyon mein simte the jab us ne chhu liya to hum bhi ho gae raushan kisi ka aks mujhe khwab mein dikha tha kabhi tamam umr rahe mere rat-jage raushan ye aadhi raat ko dastak si kis ne di dil par ye kis ne kar diye har samt qumqume raushan hum ek rukh se andhere mein aa gae lekin kai rukhon se hamare hain silsile raushan chalo 'dinesh' ab is dil se un ka nur gaya talashte hain ilaqe bache-khuche raushan