jo wahshat ki yahi hai kar-farmai to kya hoga khizan aae to kya hoga bahaar aai to kya hoga mere tar-e-gareban se sada aai to kya hoga hui jama-dari se un ki ruswai to kya hoga hai khud-bini ki waiz kar-farmai to kya hoga jo ho kar aagahi bhi kuchh na kaam aai to kya hoga shab-e-hijran sitare bhi to aankhen pher leti hain bala ho jaegi jab sham-e-tanhai to kya hoga ghurur-e-husn mein aaina dekhoge to kya loge rahegi jab na baqi shan-e-yaktai to kya hoga janab-e-shaikh maikhane mein waiz ban ke aate hain nikal aae jo rindon se shanasai to kya hoga karoge kya jo hir-phir kar kisi ki yaad phir aai purani chot agar dil par ubhar aai to kya hoga masarrat hai dil-e-muztar ko fasl-e-gul ki aamad par tabiat fasl-e-gul mein aur ghabrai to kya hoga musawwir mahwashon mein soch le anjam-e-kar apna koi taswir agar dil mein utar aai to kya hoga nashat-e-zindagi to ras aati hi nahin mujh ko na ki aakhir ko gham ne bhi pazirai to kya hoga zara socho adawat hai tumhein aisi jo 'khushtar' se kabhi 'khushtar' ke dil mein bhi ye baat aai to kya hoga