mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya tham ai rah-rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya zara taqdir ki gahraiyon mein dub ja tu bhi ki is jangah se main ban ke tegh-e-be-niyam aaya ye misra likh diya kis shokh ne mehrab-e-masjid par ye nadan gir gae sajdon mein jab waqt-e-qayam aaya chal ai meri gharibi ka tamasha dekhne wale wo mahfil uth gai jis dam to mujh tak daur-e-jam aaya diya 'iqbaal' ne hindi musalmanon ko soz apna ye ek mard-e-tan-asan tha tan-asanon ke kaam aaya usi 'iqbaal' ki main justuju karta raha barson badi muddat ke baad aakhir wo shahin zer-e-dam aaya