jo rah chalna hai khud hi chun lo yahan koi rahbar nahin hai yahi haqiqat hai baat mano tumhein abhi kuchh khabar nahin hai kisi ko sada-dili ka badla mila hi kab hai jo ab milega wafa bhi duniya mein ek shai hai magar wo ab mo'atabar nahin hai na jaane kab rukh hawa badal de bhadak uthen phir wo bujhte shoale hiras hai wo faza pe tari kahin bhi mahfuz ghar nahin hai jo chahte hain chaman ko baten wo kaise batenge fasl-e-gulshan bahega ghunchon ka khun kitna unhen to is ka bhi dar nahin hai jo pusht pe war kar rahe hain kaho ki ab samne se aaen jise wo ghafil samajh rahe hain wo is qadar be-khabar nahin hai na kaamyabi milegi tum ko hamein mitane ki koshishon mein jhukega jo zalimon ke aage wo haq-paraston ka sar nahin hai jo bantte hain mata-e-hasti unhen ye 'afshan zara bata do jo main ne manga hai haq hai mera mujhe ye kahne mein dar nahin hai