wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi ki dhup chhanw ka aalam raha judai na thi na apna ranj na auron ka dukh na tera malal shab-e-firaq kabhi hum ne yun ganwai na thi mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musafir shikasta-pai na thi adawaten thin, taghaful tha, ranjishen thin bahut bichhadne wale mein sab kuchh tha, bewafai na thi bichhadte waqt un aankhon mein thi hamari ghazal ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi kise pukar raha tha wo dubta hua din sada to aai thi lekin koi duhai na thi kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi bahut kabhi ye marhala jaise ki aashnai na thi ajib hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh 'nasir' wahan bhi aa gae aakhir, jahan rasai na thi