husn mahrum-e-mohabbat hi raha mere baad mujh sa dil-dada-o-shaida na mila mere baad kaun ab gham ki mudaraat karega yaro kis ke sar jaega ilzam-e-wafa mere baad mahfil-e-naz mein kya kya na huin tadbiren dil ka shiraaza faraham na hua mere baad muzhda-e-fasl-e-bahaaran na suna gulchin ne khak udati phiri gulshan mein saba mere baad bujh gae mere na hone se charaghon ke nasib naqsh-e-pa un ke hain mahrum-e-ziya mere ba'd gham-zada ahl-e-junun ahl-e-wafa kuchh to kaho kis liye dahr mein kohram macha mere baad khushnawaon se rahi mahfil-e-duniya aabaad naghma-e-‘dard’ kisi ne na suna mere ba'd