jo faqiri mein mir hote hain

jo faqiri mein 'mir' hote hain
kitne raushan-zamir hote hain

dard jab tak dawa na ho jae
qais majnun na hir hote hain

aql se bhi kabhi kabhi dil ke
faisle na-guzir hote hain

sirf kirdar ki tajalli se
dil nasihat-pazir hote hain

apna khud ehtisab kar rakhna
log munkir-nakir hote hain

karb kitna hai jaaniye sahab
ashk dil ke safir hote hain

jab koi aasra nahin hota
hausle dastgir hote hain

yaad hai wo nahin wafa-pesha
log phir bhi asir hote hain

un ke adna ghulam bhi 'bazmi'
rashk-e-shah-o-wazir hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close