hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae main din banata rahun aur wo shab nikal aae dalil apni jagah par ye ain-mumkin hai ki be-sabab ka bhi koi sabab nikal aae koi sitara tha hairat bhara nazara tha gharon mein soe hue log sab nikal aae nikalna hai isi shab mah-e-wasl ne lekin yaqin se kah nahin sakta ki kab nikal aae main dekhne mein bahut mahw tha teri taswir ki chumne ko mujhe tere lab nikal aae ai be-niyaz jahan kuchh to ghaur kar shayad kahin dabi hui koi talab nikal aae buri tarah se hain din dhund ki hirasat mein kisi taraf se zara dhup ab nikal aae maza to jab hai udasi ki sham ho 'shahin' aur us ke bich se sham-e-tarab nikal aae