mere supurd kahan wo khazana karta tha suluk karta tha aur ghaebana karta tha ajib us ki talab thi ajab tha asp-e-sawar ki mulk-o-mal ki parwa zara na karta tha shiar-e-zist hunar tha so hum na jaan sake jo kaam hum nai kiya dusra na karta tha safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak hamare haq mein koi faisla na karta tha faza mein hath to utthe the ek sath kai kisi ke waste koi dua na karta tha tamam surat-e-tartib is ko aati hai agarche khair ko shar se juda na karta tha wo qalb-gah-e-tamanna mein ek charagh ki lau ko tez rakhta tha nazr-e-hawa na karta tha utha rakha tha usi par se e'tibar tamam aur intizar bhi us ka zamana karta tha unhin gharon se ibarat hai apni sham-e-jahan charagh-e-taq bhi aksar jala na karta tha