jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin meri aahon se bahaaran ki sahar hai ki nahin rah-e-gum-karda hun kuchh us ko khabar hai ki nahin us ki palkon pe sitaron ka guzar hai ki nahin dil se milti to hai ek rah kahin se aa kar sochta hun ye teri rahguzar hai ki nahin tez ho dast-e-sitam de bhi sharab ai saqi tegh gardan pe sahi jam sipar hai ki nahin main jo kahta tha so ai rahbar-e-kotah-khiram teri manzil bhi meri gard-e-safar hai ki nahin ahl-e-taqdir ye hai mojaza-e-dast-e-amal jo khazaf main ne uthaya wo guhar hai ki nahin dekh kaliyon ka chatakna sar-e-gulshan sayyaad sab ki aur sab se juda apni dagar hai ki nahin hum riwayat ke munkir nahin lekin 'majruh' zamzama-sanj mera khun-e-jigar hai ki nahin