kabhi kabhi chup ho jaane ki khwahish hoti hai aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai haal hamara sunne wale jaane kya sochen yun bhi kaisi kaisi zehni kawish hoti hai diwaron par kya likkha hai padh ke batlao kya aisi baaton par yaro nalish hoti hai hum is ki tamil mein diwane ban jate hain dil aaise nadan ki jab farmaish hoti hai duniya se ek roz hamari baat hui chhup kar so be-chaari ki ab tak fahmaish hoti hai ek hi chhat ke niche chaaron wahshi kya baithe danaon ne samjha koi sazish hoti hai yun bhi hum ko shaer-waer kahlana kab tha sheron mein bhi apne jhuti danish hoti hai