sulagti ret ko dariya nahin kaha main ne ghazal kahi hai qasida nahin kaha main ne huzur mohtaram izzat-maab aali-janab ye sara jhut hai aisa nahin kaha main ne jo bewafa tha usi ki taraf ishaara kiya kinayatan ise duniya nahin kaha main ne jo hu-ba-hu teri taswir ban ke aa jae jo sach kahun to kuchh aisa nahin kaha main ne chadhae us pe nahin main ne sanaton ke ghilaf ki sach ko sher mein bandha nahin kaha main ne jo kahna chahta hun wo abhi kaha hi nahin wagarna kahne ko kya kya nahin kaha main ne