jab taghaful ka silsila hi nahin ishq ka phir to kuchh maza hi nahin aankhon aankhon mein guftugu to hui kuchh zaban se kaha gaya hi nahin mausam-e-gul ne li hai angdai wahshat-e-dil tujhe pata hi nahin teri itni hasin duniya mein be-tamanna jiya gaya hi nahin jaane kaisi hai ye masihai mundamil zakhm-e-dil hua hi nahin tod de dam kahin na tishna-labi is jagah koi mai-kada hi nahin aakhirash ro pade ghane baadal bar-e-gham jab saha gaya hi nahin lakh chaha ki bhul jaen unhen hum se aisa kiya gaya hi nahin dosti hai meri sabhi se 'tarab' dushmani kya hai jaanta hi nahin